Website ki traffic ko kaise badhaye: Hello Bloggers aj ki is post me ham apne Website ki traffic ko jyada kaise kare (How to increase website traffic organically) Isi bare me baat karege. Waise to ham sabhi jante hai, ki sabhi bloggers ke kiye traffic “must” hota hai. kyuki yadi ham bina Traffic ke apne article ko publish karte hai to uss post na to kisi ki help ho pati hai Aur na ham us Content se money earning kar pate hai. Wo content waste ho jata hai. Ab aap jaan gaye hoge ki blogging Me traffic kyu must hota hai. AJ main apko is question “Website ki traffic ko jyada kaise kare” ka jawab Dene ki kosis karunga.
Apni Website ki Traffic Kaise Badhaye | वेबसाइट की विजिबिलिटी कैसे बढ़ाएं?

Fresh Content Ke jariye Website Ki Traffic Ko Jayda kaise kare.
Bloggers aap sabhi ne kahi Na kahi ye to suna hi hoga ki “Content is king” aur ye baat 100% sahi bhi hai. Yadi ap fresh content yani without “Copy Writing” wale quality content ko likhte hai to apko successful Blogger banne se koi nahi rok sakta hai. Kyuki google ko hamesha new and quality content ki jarurt Padti hai Taki wo users ko hamesha new content provide kara sake isliye content ko khud create kare Aur hamesha kuch unique Banaye..
Bonus Tips:- 1. Jab bhi ap koi new content ko write kare to pahle google me us content ke bare me search karke dusre contents se Idea lele..
- Content ki length ko minimum 500 words ka rakhe, kyuki jyada words wale content aasani se rank Kar jate hai..
Keyword Research Se Blog Website ki traffic Ko kaise badhaye.
Jaisa ki ap jante hai ki SEO me keyword research kitna important hota hai agar apko apni website ki traffic ko increase karna hai. Ham sabhi jante hai website ki traffic ko increase karna ek difficult task Hai. Kyuki isme sabhi pahluon per dhyan dene ki jarurat padti hai. Cahe wo content ko create karna ho ya Usko Optimize karna ho. Main apko keyword research ke bare me itna hi kahna chahunga ki keyword Research ke liye apko free too “GKP” (Google keyword planner) ka use karna cahiye. is tool ka use karke Low Competition Aur jyada Monthly Searches wale keywords ka use kare. Aur Ager apko keyword research ki importance ko janna hai to iss post ko padhe.
Bonus Tips:- GKP apko competition analysis ka data nahi provide nahi karwata hai. isliye apko paid tool Like Kwfinder, Semrush ka use kar sakte hai.
On Page Seo Se Website Ki Traffic ko jyada kaise kare
Sabse pahle main apko on page optimization ke bare me thoda sa explain kar dena cahta hu ki “Ham Apni Website ya Blog ko Google ke Law ke anusaar badalte hai jisse hamari website jyada Google friendly ban jati hai issi prakiya ko seo optimization kaha jata hai” iske jariye ham website me new post Write karte time uske Title, Description, Keywords, Headings Aur Url ko kisi specific Keywords ke prati Optimize karte hue post ko likhte hai. On page seo ke bare me aur janne ke liye yaha click kare
Bonus Tips:- SEO Optimization In Not Easy So Ager apko setting me kuch change karna ho aur aap uske Bare me nahi jaante to apko kisi expert ya other blogger se comment ke jariye help leni chahiye.
Off Page Optimization Se Website ki Traffic Ko jyada Kaise kare
Off page seo optimization ki wah technique hai jiske jariye aap apni website ki traffic bahut jyada Badha Sakte hai But apki site ka trust-flow google me badhna cahiye, Ab aap soch rahe hai ki aap apni website ka trust-flow google me jyada kaise kare. To iska ans. hai “Link building Is The Best method to Build Trust-flow in Google” Isliye ager aap quality link building kare to apki website 3-4 Month me Achi rank Karne lagegi aur apko traffic bhi milega.
Ager apne New website banayi hai to ek bar meri ye post jarur padhe. Is post ke jariye aap top 10+ High quality backlink paa sakte Hai
Bonus Tips:- 1. Backlinks badhane ka sabse easy method hai “Comment Karna” isliye comment ka use jarur kare.
- Dont use any software to create backlinks.
Last words
AJ ki iss post website ki traffic ko jyada kaise kare – Hindi Seo Guide me bus itna hi ager apko meri ye post achi lagi ho to please Share it otherwise apke man me koi question ho Please Ask Me. Thankyou For Reading My Blog.